DirectoryLiteratureBlog Details for "Sheher-e-Sukhan"

Sheher-e-Sukhan

Sheher-e-Sukhan
A place for poets, poetry and the poetic at hear to come and share poetry and a little more.

Articles

Kaha bhi tha
2007-11-19 23:18:00
Kaha bhi tha Keh manzar to achanak hi badalta hai Kaha bhi tha Keh mausam to achanak hi badalta hai Bataya tha keh pusti ka safar aaghaz ho jaye To kitni ki bulandi ho Ya mansab-e-jah-o-hasti ho Bus aik hi lamhay main Haan bus aik hi lamhay main sub hi kuch Is tarha say khatam ho jata hai Keh jesay aag pani say Keh ...
Sapna Aagay Jata Kesay
2007-11-19 23:08:00
Chota Sa Ak Gaoon Tha Jis Main Diyay Thay Kam Or Bohat Andhera Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay Jin Ko Tha Doori Nay Ghera Itne Bari Tanhaee Thi Jis Main Jagta Rahta Tha Dil Mera Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main Ak Muqarar Hadd Say Aagay Soch Na Sakta Tha Dil Mera Ease Sourat Main Pher Dil Ko Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera Raaz ...
Un haseen aankhon ki wehshaton se kehdena
2007-11-19 23:04:00
Un haseen aankhon ki wehshaton se kehdena Hum jo aasmaan hotey Un ko mah ro kartey Un udaas aankhon ko roshni se bhar detey Kuch numi ko kum kartey Kuch khushi se bhur detey Hum jo aasman hotey Un fasurda palkoon ki Beqarar larzish ko ?.. Mun pasand chehrey ki simt munjamid kartey Ye agr na kar patey Tab ussey khuda kartey Tab ussey sanam kartey?.. Us ko ...
More About: Hase
Do Peher
2007-11-19 23:02:00
Ye jeet-haar to is daur ka muqaddar hai Ye daur jo ke puranaa nahin nayaa bhi nahin Ye daur jo ke sazaa bhi nahin jazaa bhi nahin Ye daur jiska ba-zaahir koi Khudaa bhi nahin Tumhari jeet ah?m hai na meri haar ah?m Ke ibtidaa bhi nahin hai ye intihaa bhi nahin Shuru ma?arka-e-jaan abhi hua bhi nahin Shuruu ho to ye ...
Ussi Aik Furd kay wastay
2007-11-19 23:00:00
Ussi Aik Furd kay wastay Meray Dil mein Durd hai kis liye Meri Zindagi ka Mutalba Wohi aik Furd hai Kiss liye Tu ju Shehr mein hee Moqeem hai tu Musafirat ki Fiza hai kyoon Tera Karwa’n jo nahi gaya tu Hawa mein Gurd hai kis liye Na Jamal-o Husn ki buzm hai Na Junoon-o Ishq ka Azm hai Sur-e-Dusht-e-Rukhs ...
Yeh kabhi kisi ko khabar na ho
2007-11-19 22:59:00
Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho usey le gai hai kahan hawa’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main Merey qatl main mera haath tha’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal ...
Kuch bhee naheen!
2007-11-19 22:38:00
Socha naheen accha bura Dekha suna kuch bhee naheen Manga khuda say raat din… Teray siwa….. Kuch bhee naheen! Dekha tujhey chaha tujhey Socha tujhey pooja tujhey Meri wafa meri khata…. Teri khata kuch bhee naheen! Jis par hamari aankh nay Moti bichaye raat bhar Bheja wohee kaghaz usay Ham nay likha…… Kuch bhee naheen Ek shaam kee dehleez per Baithay rahay woh dair tak Aankhon say ...
Qismat ka likha
2007-11-19 22:36:00
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete To shaid hum bhi apna raasta tabdeel kar lete Agar hum waqi kam hosla hote muhabbat mein Marz bahrne se pehle hi dawa tabdeel kar lete Tumhare saath chalne per jo dil razi nahin hota Buhat pehle hum apna faisla tabdeel kar lete Tumhe in mausamoo ki kya khaber milti agar hum ...
Ghar ki fikr to us ko ho gi
2007-11-19 09:40:00
Mujh main rehnay ki khatir tum aaye Is say pehlay keh main derwaza kholoon, kuch boloon Afwaahon ki gard main liptay Zeher alood mohabbat naamay liye huay tum Udhray huay rishton kay jaalay siye huay tum Mujh main aan samaaye Main rehnay kay liye bana hoon Jo bhi aaye mujh main reh jaye Mujhay sajaye Jitna pyar karay utna sukh paaye Tum say pehlay bhi ...
Saiyan zaat adhoori hay
2007-11-18 23:15:00
Saiyan zaat adhoori hai + Saiyan baat adhoori hai Saiyan raat adhoori hai + Saiyan maat adhoori hai Dushman chaukanna hai laikan + Saiyan ghaat adhori hai Saiyan ranj malal bohat + Dewanay be haal bohat Qadam qadam per jaal bohat + Pyar muhabbat kaal bohat Aur isi aalam mein saiyan + Guzar gaye hain saal bohat Saiyan har soo dard ...
Ik Inshah Naam ka Deewana
2007-11-18 23:13:00
Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash?hoor hai uss ka afsaana Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey Kuch baat thi uss ki baatoo?n mein,kuch ...
More About: Shah
Aksar shab-e-tanhai main
2007-11-18 23:12:00
Aksar shab-e-tanhai main ? kuch dair pehlay neend say Guzri hui dil-chuspian ? Beetay huay din aish kay Buntay hain shama-e-zindagi ? Aur daaltay hain roshni Meray dil-e-sud chaak per Woh bachpan aur wo saadgi ? Woh rona woh hansna kabhi Phir woh jawani kay mazay ? Woh dil lagi woh qehqahay Woh ishq woh ehd-e-wafa ? Woh wada or woh ...
More About: Main
Ghaflaton kay maray hum
2007-11-18 23:11:00
Roz-o-shab kay melay main Ghaflaton kay maray hum Bus yeh samajhtay hain Jis ko abhi dafnaya hai Bus usi ko merna tha.
More About: Flat
Aaj bazaar main pa-bajolan chalo
2007-11-18 23:08:00
Aaj bazaar main pa-bajolan chalo Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin Tohmat-e-ishq-e-posheeda kafi nahin Aaj bazar main paa-bajolan chalo Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo Rah takta hai sub shehr-e-janan chalo Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dashnam bhi Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi Un ka dum-saaz apnay siwa kaun hai Shehr-e-janaan main ab baa-safa kaun hai Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai Rakht-e-dil bandh ...
More About: Main , Bazaar , Bajo
Ye ab ke khizaan ko kya huwa
2007-11-18 23:07:00
Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nigah mein thehar gai Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya Ke ...
MOHABBAT CHOR DI HUM NAY
2007-11-18 23:05:00
Abhi jo laut kar phir tum Hamaray dar pay ayay ho Yeh tum say keh dya kis nay Keh tum bin reh nahi saktay Yeh dukh hum seh nahi saktay Kaha tum say yeh kis nay hai Keh tum bin hum buhat royay hain Raaton ko na soyay hain Sun lo ghoar say janaa Agar beetay huway lamhon ko Tum nay wapis lana hai Hamari zindagi ...
Ya hum to alwida keh do!!!!
2007-11-18 23:04:00
Tumhai jana ijazat hai Koi bhi faisla karlo Huamri muntazir thehro Ya hum ko ulwida kehdo Humare naam se munsoob kerdo naam ko apnay Ya apna naam day ker tum kisi ki meet bun jao Tumha jaana ijazat hai Koi bhi raasta chun lo Humaray paoon main toc waqt ki zanjeer lipti hai Buhat nidhaal hain hum to dukhoon ki aazmayish hai Buhat mumkin hai ...
Yeh meri ana ki shikast hay
2007-11-18 23:03:00
Meray hum-nawa teri bey-rukhi dil-e-mubtala ki shikast hay Isey kis tarah main kahoon fatah yeh meri ana ki shikast hay Tu chala gaya mujhay chohr kar main nay phir bhi tujh ko sadayain deen Meray humsafar tu ruka nahin yeh meri sada ki shikast hay Tujhay laa kay dil main bitha dia, tujhey raaz har ik bata dia Tu nay ...
Munir Niazi
2007-11-18 23:00:00
kujh unj we raawaN aukhiaN sann kujh gall icch gham da tauq ve see kujh shehr dey louk ve zalim sann kujh sanouN marran da souq ve see Yes, the path I chose was hard Yes, there was the noose of grief around my neck Yes, the citizenry was also so cruel But, ultimately, we too wanted to get killed (coloquial for ...
54020 blogs in the directory.
Statistics resets every week.


Contact | About
© Blog Toplist 2009 - Supported by Web Catalog - SEO by FeWorks
eXTReMe Tracker